Thursday, April 29, 2010

JO LOG KUCH NAHI KARTAY KAMAL KARTAY HAIN

JO KUCH NAHI KARTAY KAMAL KARTAY HAIN
Qisa kuch yon hai k jis jaga b jao bas 1 hi qisa sune ko milta hai k falhan ka beta nikama hai falan koi kam nai karta. falan ka bhaii sara din awara gardi main guzar deta hai jata tou wo college hai or ye or baat hai k raste main larkiyon ka college par jae tou behno k khayal se wahin ka ho rehta hai.
meri samaj main nahi aata k akhir hum kuch na karnay ko galat maino main hi kiyn letay hain bare bare logon ki misalain humare samnay hain. tarikh in logon par aaj fakhar karti hai jo kuch na karte howe b kamal kar gae.
ye apne newton ko hi lijie bichara sara waqat aese hi para rehta tha na koi kaam na koi dhanda na koi rasi na koi phanda or howa yun k 1 din jo saib upar a gira tu wo center of gravity jesa law daryaft kar gaya or duniya main amar ho gaya.ab koe aap mjh jaisa hota tou saib pakarta, dhundta aur kha laita aur apnay kaam main mashghool ho jata. choonkay isay aur koe kaam tou tha nahi lehaza wo saib pakar kar sochta raha aur kuch na kartay huy bhi kamal kar gaya.
ab steam engine k inventor ko hi lijiy kia aadmi tha wo bhi chai bananay bethta tou betha hi reh jata. bhai isay koe jaldi thora hi hoti ab jo aik roz chai bananay betha tou ghour karnay laga k cattle ka cap bhhaap ki waja say uth kion raha hai aur steam engine ejad kar betha. agr wo koe masroof banda hota tou jaisay hi paani ubalta pati daalta aur chai bana kr koe kaam karta tou yaha bhi is ki faraghat nay isay naamwar inventor bana daala aur wo taarikh main kamaal kar gaya.
chalyai door kion jatay hain. aaj apnay haan kia horaha hai taqriban har noujawan hath main kalashan kouf pakr kar apna haq dhundnay nikla hai najaiz dolat ki rail pail nay nainsaafiyoon ko janam dia hai. qaanoon sai bachay rehnay ka triqa poocho tou jawab milta hai k PAISA BARA HAI.
aisay main yaqinun baa kamal hain wo log jo is fashion sai bachay hoy hain.
ary samnay ki misaal tou main bhool hi gaya. aap films ko hi lijiay action films k hero kitni maqbooliat haasil kartay hain jab k wo kuch bhi nahi laikin baakamal kehlaty hain.
jo log kuch nahi kartay kamal kartay hain. aap shayad in chand lafzon par mushtamil jumlay ki taqat ka andaza nhi laga saktay yaqin janiye humary paros main aik sahb rehtay hain jo kuch nahi kartay na sifarish naa jhoot na rishwat na chughli na gheebat, na hasadna koe aur buri baat. aaj k zamanay main aisay shaks ka wujood kamal nhi tou aur kya hai??
yai aur baat hai k wo goongay aur behray hain.....
aaj kal hamaray students ka result jb aata hai tou jin k achay number aatay hain aur kamal kartay hain tou aap kia samhtay hain wo exams say pehlay kuch kartay hon gay. na. na kia gazab kartay hain is taiz raftar zamany main itni fursat kahan aaj k students ka moto hai k "rest is the best for every test"
exam k dino main bus thori c gath jor aur sara saal kuch na karo, aur aakhir main kamal kar jao. ab is main kuch shak nahi raha raha k jo kuch nahi kartay kamal kartay hain. is liay mera tou mashwara hai k
AAP KION PARH PARH K HALKAAN HOTAY HAIN
IS ZAMANY MAIN AISAY KAHAN KAMAL HOTY HAIN
JO KUCH KARTAY HAIN KHUD KO PAMAAL KARTAY HAIN
JO KUCH NAHI KARTAY WO KAMAL KARTAY HAIN


SYED NOUSHAD ALI.

3 comments:

  1. Who are other memebrs of your group? Give their names in profile. Have they contributed any blog? if so what are their details. Please send me. U will be responssible for it.

    ReplyDelete